Wednesday, November 24, 2010

tarp

zindgi beet chali hai .
main tum sey bichri hoi ja pey kisi pather ki trah
zehn o dil ko jamood zda kr k khra hon
aankhen bey noor, lab khamoosh, rang zrd ,
magr phir b.
log kehtey hain k yeh trp terey liey hai
main to heran hoon k dil tk to dahrkta nhin mera
na beqrari, na aah o zari , shikayet e hijr
phir b yeh ishiq ki halit hai to ishq kia hai
ik ney rihdm c hrkt ko trp kehtey hain log
merey ti jism main hrkt ka nishan tk hi nahin
phir? tarp kaisi?
han ! magr rouh ki koi bat krey to yey alag hey

No comments:

Post a Comment